Sunday, March 17, 2024

Zindgi

 Kaha la kar chod diya tune aye zindgi 

Ki apne hone per sharmindgi hai.

Ek taraf kua hai 

To dusre taraf khaai hai.

Mara mara phirta hun

Na koi Sahar aur na kinara hai.

Jee karta hai ki you rooh sath chod de 

Is sharir ka..

Per darta hun ki

Bhatak na jau beech me

Shayad main kayar hun

Jo darta hai janam aur maran ke beech ke padav per..

Warna kar guzar ne wale

Nahi socha karte hai dubara...


No comments: