Monday, March 4, 2024

meteor shower

 Pichle lagbhag 4 saalo se main meteor shower dekhle 14th dec ko humesha jata hun.

Mid night 1 am - 4 am aakash me tak taki lagaye taro ko tute huye dekhna.

Aur yaad aata hai purana samay jab hum log tute huye tare ko dekh kar wish maga karte the. Sach me kitna pagal pan tha un bato me. 

Science student hone ke baad bhi in sab bato per vishwas karna aur kitni hi wishes ko mangna 

😊. Ab umra ke is padaw per aa kar sab bachpana lagta hai. 

Kabhi kabhi lagta hai bachpan kitna achcha hota hai. Best part of life. Kash koi time traveller machine hoti to waqt se piche ja kar bahut kuch sahi kar deta. Kash aisa hota... Kash...

No comments: